Nikla
tha jin rahon par, who rahen kahan kho gaye,
Jane
anjaane mein ye hum kahan aa gaye.
Kismat
ka khel hai, ya shayad hai waqt ka ishara,
Kashti
ban dhundoon main apne hasraton ka kinara.
Khawishon
ke dal-dal ne har taraf se hai ghera,
Is
ghane andhere mein dhundoon main apna sawera.
Aaj jab
saare aarzoo umad kar aati hain,
Apni hi
rahon par mujhe tanhai ka ehsaas dilati hain.
Kaunsa
tha wo mod jise maine choda,
Kaunsi
dorahe par maine galat mod moda.
Kash
mil jaye wo mod to chal padoon sahi rah par,
Aur
paloon chalke khudko apni hasraton ke manzil par.
Paloon
wo har khushi jise maine kabhi tha chaha,
Bhuladoon
wo har aansu jise maine kabhi bahaya.
Par aaj
waqt ka taqaza hai ki chahaton ko ek naya mod doon,
Beeti
ko bhula kar aaj is dorahe par sahi mod loon.
Khushi
mile ya aansu bas haunsla saath rahe,
Chalta
rahun jab tak manzil na mil jaaye.
No comments:
Post a Comment