Saturday, April 27, 2013

Kinaare Ki Khoj Mein

Nikla tha jin rahon par, who rahen kahan kho gaye,
Jane anjaane mein ye hum kahan aa gaye.
Kismat ka khel hai, ya shayad hai waqt ka ishara,
Kashti ban dhundoon main apne hasraton ka kinara.
Khawishon ke dal-dal ne har taraf se hai ghera,
Is ghane andhere mein dhundoon main apna sawera.
Aaj jab saare aarzoo umad kar aati hain,
Apni hi rahon par mujhe tanhai ka ehsaas dilati hain.

Kaunsa tha wo mod jise maine choda,
Kaunsi dorahe par maine galat mod moda.
Kash mil jaye wo mod to chal padoon sahi rah par,
Aur paloon chalke khudko apni hasraton ke manzil par.
Paloon wo har khushi jise maine kabhi tha chaha,
Bhuladoon wo har aansu jise maine kabhi bahaya.

Par aaj waqt ka taqaza hai ki chahaton ko ek naya mod doon,
Beeti ko bhula kar aaj is dorahe par sahi mod loon.
Khushi mile ya aansu bas haunsla saath rahe,
Chalta rahun jab tak manzil na mil jaaye.